Mere Aakaa Peer Rabbani
Tere hi Kadmo se to lage hai Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)
Tere hi Jalwo pe Marr mite hai Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)
Tere hi Ishq mein doob jaana Tujhme samaa Ke , khud ko Banana Aisa hunar ab to humko ata kar Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)
Aap Yazda ke Raaj dulare Apna Jeewan Unpe Waare Tum Yazda ke Aakhon ke Taare Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)
Tere Bina Ab na Jeena Gawara Aa Bhagwan Ab Mandir Mein Aaja Pooja Karenge Paiya Padege Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)
Tere Hi Dum se Yeh Zindagi Hai Tu Jo Nahi To Kuch Bhi Nahi Hai Aadil Ko Bhi Tumhi Nibhana Mere Aaka Peer Rabbani (r.a)