Guru Kirtan

Har pal tu Guru ka dekhan jaa, Guru Sab se nirala hota hai, Dekhan Dekhan jab umr kate, Ishwar ka nazara hota hai Bhakti tu Guru ki karta jaa, Sewa me Guru ki tu aaja, Jo Guru Sharnan me aa jae, Ishwar ki Sharan me hota hai Hirdey me Guru ka naam japo, Charnan me Guru ke seesz dharo, Jo Guru tumhara ho jae, Ishwar bhi tumhara hota hai Rang chod tu saare duniya ke, Rang jaa tu Guru ke hi rang me, Jo Guru ka pyara ho jae, Ishwar ka bhi pyara hota hai Har pal jo Guru ka dhyan kare, Ishwar bhi usi ka dhyan kare, Aye bande Guru ke hi bhitar, Ishwar ka darshan hota hai Hai Guru hi apna Man mohan, Hai saare dukho ka woh marham, Aadil duniya aur mehshar me, Guru hi to sahara hota hai