Mera Hussain hai
Karbal me ghar lutaya woh... Mera Hussain hai, Sajde me sarr kataya woh... Mera Hussain hai
Jinn ke liye Rasool ne... 'Minal Hussain' kaha, Aysi azeem zaat woh... Mera Hussain hai
Doshe payambari pe aap... Sajde hue hai tool, Jinki sawaari ho Nabi... woh Mera Hussain hai
Sab ambiya ne deen ka... paigam laaye hai, Jo deen banke aaya woh... Mera Hussain hai
Abbas(as) ki wafa ne... aylaan kar diya, Sab se buland makaam woh... Mera Hussain hai
Aashique hue zamane ke... har daur me magar, Jiski na ho misaal woh... Mera Hussain hai
Hum aasiyo ko hashr me... kiski nijaat hai, Yazdani Peer ne keh diya... Mera Hussain hai
Kyun khauf se gazarti hai... Aadil teri hayaat, Mushkil khusha jahaan ka... Mera Hussain hai