Kya Khoob Sandal hai
Kya Khoob Sandal hai Mere Aye Peer-e-Rabbani tera, Sadqa Baate Panjatan Ka Peer-e-Yazdani tera
Kya Khoob Chaadar hai teri Yazda piya ladle, Rang Hasnaini hai isme Aur hai Noorani fiza
Deedar Shah Bhi aaye hai Bismil piya bhi hai Yaha, Auliya Ki Anjuman me bol bala hai tera!
Nisbat e Rozekari Ka hai Ka hai yeh faiz Rawa, Sadqe me Deedar Shah Ka Banda Nawaz bhi Yaha!
Aashiqo Ki Dhoom hai Aur Aarifo Ka hai Guzar, Noor Ki baarish yaha pe Aur hai noorani Samaa!
Jholi Bhardo Sabki aaj Jitne hai Saahil Khade, Sadke me Dada Madaar Kardo Sabka beda Paar
Tere Aastan pe barse Noor Ki Baarish Sadaa, Humpe bhi pad jae Chitte Sadke me Yazda piya
Har Ghadi Rakhna Bharam Aadil Ka Rabbani Piya, Tere dum pe Khub Itrata phire Adna Gulam!