Har Zarre me Khuda hai

Har Zarre me Khuda ha... Mujhe Maloom na tha, Saara aalam uska Pata hai... Mujhe Maloom na tha! Laa Sharik hai woh Jaano Phir bhi Sharik hai yeh Samjho, Nah Nu Aqrab me Chupa hai Yaar Mujhe Maloom na tha! Khud Ke Rehne Ki Khatir Yeh mitti ka Ghar Banaya hai, Yeh usi Ki Zinda Mazaar hai Mujhe Maloom na tha! Hawwa Ko Banaya Parde me ai Khud bhi chupa hai parde me, Parde Ka ye raaz kya hai Mujhe Maloom na tha! Aashiq ho Kar Khud hi Mashooq bana wo, Khud apne hi jalwo pe wo fida hai Mujh Maloom na tha! Aabey Hayaat Ka yeh Moti mujhme hi tha Chupa, Raton Ka yeh Kya Raaz hai Mujhe Maloom Na tha! Ishara Karke 'Yadullahe Fauka Ayde him' Ka usne Murshid Ka Chola Pehenkar woh Chala hai Mujhe Maloom na tha! Buth Khana wa Kaaba Har jagah usko dekha humne, Bismillah Ke Jalwo me Yazdani Chupa that Mujhe Maloom na tha! Ab Kya Kahoge Rabbani Munawwar Ki Jalwagari dekh Kar, Sanam Mera Sabse Juda hai Mujhe Maloom na tha!