Jalwa hai jab woh Char soo
Jalwa hai jab woh Char soo, Phir bhi Chupa hua hai Kyun, Zahid Khuda Ko dhund tu, Mera Khuda ho Ru-Baru!
Nadaan hai jo Dhundte, Haq ka Pata Waha Yaha, Khud me Khuda Ko dekh le, Rehta hai is Makaa me woh!
Na Samjho ise tum Khak wa Aag, Ek Noor ka hai yeh Makaan, Darwaze is ke Saath hai, Do Khidki se Jhakta Khuda!
Khud Ka Pata Mila Mujhe, Deedar Shah Peer Se, Meeraj e bandagi hui, Jisne Sanam Ko Paaliya!
Bismillah Shah Peer ne, Jaam e maiy Pila diya, Apna bana ke Rabbani ko, Munawwar Sanam bana diya!